ALLAAH - KI - PEHCHAAN PART-18

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
        *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
      *⚀  ALLAAH - KI - PEHCHAAN  ⚀*
                   
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *❈ PART-18 ❈*

   ✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

*☞ Hume Muhammadi Banna Padega.. _*

↬• Kya hamari Badqismati hai k 40 saal mai koi Ek raka'at bhi Esi Naseeb Nahi Hui jisme Maine Allah ke Saath Pyaar Muhabbat Se Baat ki ho aur Mai'n Apne Allah ko Yaad Kar ke Allahu Akbar se Shuru hua aur Sajde Tak Allah ke ishq mai Chala gaya ,

★• _ Ye Kaisa Faqeero Ka desh hai , Ye kesi Faqeero ki Duniya hai , Log Faqeer kehte hai'n Jo jhuggiyo jhopdiyo mai rehte Hai'n ,( Nahi Nahi Faqeer ye nahi ) Faqeer Wo hai Jise Allah na Mila , Faqeer Wo hai Jo Allah ke Ghar mai aa kar bhi Allah ko na pa saka , Jise Allah ki Muhabbat Ka zaa'iqa na Mila , Jo Allah ke Naam ki halawat na dekh saka ,Jo Tanhaiyo'n mai Allah ke saamne Beth Kar ro na saka , Jo Allah ko dhukde na Suna saka ,Jo Allah ki Muhabbat mai na tadpa ,na Roya aur na machla , Ye hai Faqeer , Wo Faqeer nahi Jo Hamare Shehar ki galiyo'n mai maangta firta hai ,

★• _ Mere Bhaiyo'n ! Allah ke waaste Apne Allah ko Apna bana lo , Uske siwa Manzil nahi milegi , Bhatki Hui insaniyat hai ,Manzil milane ke liye aur Allah Tak pahunchane ke liye Allah Ta'ala ne Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Zindgi ko Namoona banaya hai ,

★ • _ Allah ke yaha'n Arabi ,Ajmi , ye nahi chalte ,Qureshi ,Pathan nahi chalte , Allah se milna hai to Muhammadi Banna Padega , Zaahir bhi Muhammadi ,Baatin bhi Muhammadi , Zindgi ki har Ada Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke saanche mai dhal Jaye ,

★. _ Kitni hamari Badqismati hai k Jis Cheez ko Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne pasand Kiya ho wo hamari pasand hi na bani aur Jisko unhone Chaha humne use na chaha ,


★• 🔜 *19 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*🎤 Muballige Islam Hazrat Maulana Tariq Jameel Sahab Madzillahu_,*

☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Deen Ka Daayi*,
   http://www.Deenkadaayi.weebly.com/

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

Comments