ALLAAH - KI - PEHCHAAN PART-20

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
        *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
      *⚀  ALLAAH - KI - PEHCHAAN  ⚀*
                   
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    *❈ PART-20 ❈*

   ✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

     *☞…Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ki itteba e Muhammadi Sallallahu Alaihivasallam _*

↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Kurta Pehna to Uska Aasteen bada Tha , Usme se bazu Chhup gaya ,

★• _ Apne Bete se kaha Beta Maine Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko dekha tha, Unke Kurte Ka ye Aasteen bad gaya Tha to unhone usko Chhuri se kaata tha , To Mai'n bhi Chhuri se kaatunga , Mai'n nahi is Qainchi se kaat ta ,

★• _ To Mai'n Yu'n Kehta hu'n k chaahe us Waqt Aapko Qainchi mili na ho ,Aapne Chhuri se kaat diya Lekin Jese karte dekha wese hi karte chale gaye ,

★ •_ Ek jagah se guzre , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Thokar lagi , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Jab kabhi Waha'n se guzarte to Thokar Khaate k yaha'n mere Mehboob ko Thokar lagi thi , Mai'n bhi Thokar khaunga , Ye Kya ishq Hai ?

★. _ Majnu ne to Kutte ke qadam choome , logo ne kaha diwane Kutte ko Kyu choomta hai , usne kaha Paagalo ! Ye Kutta kabhi kabhi Laila ki gali se guzarta hai ,

"__ To Kya hum Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqe na choome , uske Tareeqe na choome jis Jesa koi hai nahi , Jis Jess koi bana nahi ,

★• _ Ma'araaj pe gaye , Ya Allah ! Ibrahim Alaihissalam ko Khaleel banaya , Moosa Alaihissalam ko Apna Kaleem banaya , Daowd Alaihissalam ke liye Aapne Loha Naram farmaya , Sulemaan Alaihissalam ke liye Aapne Hawa taabe ki , Mere liye Kya hai ? To Allah ne farmaya - Qayamat Tak Tera Mera Naam ikattha rahega ,Juda nahi ho Sakta ,


★• 🔜 *21 in. sha Allah ta'ala*,
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*🎤 Muballige Islam Hazrat Maulana Tariq Jameel Sahab Madzillahu_,*

☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Deen Ka Daayi*,
   http://www.Deenkadaayi.weebly.com/
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

Comments